Ki apni muhabbat ki chadar ko is kadar fahara mere dost,
ki nafaraton k badal bhi bikhar jayein....
Sarakti hui jamin se jahan bhi tu gujre,
Vahan tere liye mandir khade ho jayein....
****
Jo aaj tere paas hai shayad kal na ho,
Is dard ki mithas shayad us pal na ho...
To kyun doob raha hai tu us dushmani ki madira k shabab mein,
Jahan shayad tera koi kal na ho...
****
Koi kahata hai wo aisi hai, koi kahata hai wo aisi thi;
Wo kaisi thi, wo jaisi thi, wo meri thi, wo jaisi thi...
Zamana roj bahakaye, na bahaka hu na bahakunga,
Fana kar dunga khud ko main, chahe wo meri thi,chahe parayi hai...
****
Jindagi ka konsa pahaloo kab koi achambha ban jaye,
Soch hi nhi pate;
Par jab wo hi achambha hamein bar-bar rulaye,
Shayad usi achambhe ko pyar kahte hain....
****
Main agar apni kahu to maine kayi nagame likhe,
Kayi geet likhe, kayi ghajalein or kayi kisse likhe:
Par na likh paya apna wo dard,
jo pasaliyon k bhitar kahin dhansa hua hai:
Shayad kahin koi chuk hui mujhse,
Jisse mera meri hi kalam se wo rishta na ban paya,
Varna dil k rishte mein to aksar ankhon mein band aansoo bhi dikh jata hai....
****
Gar ban jate apki ankhon ka kajal hum,
To bahkar chale jate apke ansuon k sath door kahin...
Gar ban jate apke gale k motiyon k haar hum,
To tootkar bikhar jate toofan mein kahin...
Ye to shukra hai khuda ka ki lage hain deewar pe apki,
or chadhha hua hai foolon ka haar humpe..
Thode se door hi sahi,
Par dekh to pate hain aap hamein zinda kahin...
****
Hamne saha hai bahut ab aur sahana nhi chahte,
Dil karta tha tere daman se lipat kar ro lein,
Par ab kuchh kahana nhi chahte...
Yun to khula hua hai angan hamara,
Par ansoo ponchhne wala koi nhi hai,
Jaise badnaam hum aye the,
Shayad ab aise hi chale jaenge