MERA GANV ✿

Chitthi ayi hai ya koi pegam ganv se aya hai,
lagata hai ki jaise meri maa ne mujhe bulaya hai.
dur gagan ke panchhi ko dekh ke man ye kahata hai,
ruk jao ae jane walo ganv ka haal bata jao.
dur hu apne ganv se jab bhi yaad abhi bhi paas mere,
roz roz aa jati hain bachapan ki yaad dilati hain.
chupke se school se jana, kheto me phir dhul udana,
budhe pipal ki chhanv me maa ke hath ki roti khana.
maa ki najaro se phir bach ke chupke se ghar main ghus jana,
duje din school me jake master ji se danada khana.
kue ka wo mitha pani or chopal ka shor saraba,
sarkande ki gadi lekar lekar gali gali main dhum machana.
ji karta hai lot aye bachapan ki sari rangraliyan,
ganv me jake phir se ghumu, bula rahi mujhko galiyan.
pesa khub hai dur desh main lekin mera ganv nahi,
imaraton ki chhat hai lekin pipal jaisi chhanv nahi.
ab karata hai dil mera ki lot aaun us ganv me,
par aaun kaise main dekho padi bediyan panv me.

✿ Sandy's Dream World ❤ ツ. © 2008. Blog design by Randomness