MERA GANV ✿

Chitthi ayi hai ya koi pegam ganv se aya hai,
lagata hai ki jaise meri maa ne mujhe bulaya hai.
dur gagan ke panchhi ko dekh ke man ye kahata hai,
ruk jao ae jane walo ganv ka haal bata jao.
dur hu apne ganv se jab bhi yaad abhi bhi paas mere,
roz roz aa jati hain bachapan ki yaad dilati hain.
chupke se school se jana, kheto me phir dhul udana,
budhe pipal ki chhanv me maa ke hath ki roti khana.
maa ki najaro se phir bach ke chupke se ghar main ghus jana,
duje din school me jake master ji se danada khana.
kue ka wo mitha pani or chopal ka shor saraba,
sarkande ki gadi lekar lekar gali gali main dhum machana.
ji karta hai lot aye bachapan ki sari rangraliyan,
ganv me jake phir se ghumu, bula rahi mujhko galiyan.
pesa khub hai dur desh main lekin mera ganv nahi,
imaraton ki chhat hai lekin pipal jaisi chhanv nahi.
ab karata hai dil mera ki lot aaun us ganv me,
par aaun kaise main dekho padi bediyan panv me.

Nek Banda ✿
















Nek bande rah wo chun pa sake koi rasta ,
pyar k bijon ko bo tu uska tujhko vasta,
hai kasam un ansuon ki jo bahe us ankh se,
nafraton ko dekhta kyun ma ki us mamata ko chhu,
jindagi k geet main tu kho raha hai laya kyun
nek bande......................

tod de un bandhano ko jinmain tu jakada hua ,
lot aa us jindagi main jismain tu jakda hua,
mushkilein aengi lekin kar tu unka samna ,
pa le apne lakshya ko jiski hai tujhko kamna
nek bande...........

gar bhatak jaye tu path se lalachon k jaal main,
yaad kar un guru jano ko kasht k us haal main
mil hi jaegi wo sidhi jispe tu chadh jaega,
chadh k apne hoslo pe tu bulandi paega,
nek bande................

le tu shiksha har kisi se har main ik gun khas hai,
is jahan k har ik kan ko apne upar abhiman hai ,
tu khada sharma raha kyun lele sab jo khas hai,
or phir neki main lag jiska tujhe abhas hai
nek bande.........

Bhuli Bisri Yaadein (Ghazal) ✿

















Bhuli bisri yadon k sang chal diye hain rah main,
par kinare dur itne chalna hai  ab kab talak,
manjilein bhi dur hi hain dhundhali ho gai hain najar ,
tha wo mujhmain josh pehle kho gaya jane kidhar,
bhuli bisri................................

shab k sannate ka pehara lagta hai jaise zahar,
lot ati hain wo yadein ban gayi hain jo kahar ,
baat karti hain ye ratein puchti hain kyun hai dar ,
inko hum kaise batein roz jati chodh kar,
bhuli bisri.........

dekhta hu ab ujala kab kahan se aega ,
jindagi k is andhere ko mita k jaega,
us ujale k suraj ko ja raha hu dhundhane,
ab talak tu kyon chupa tha ye baat us se puchne,
bhuli bisri.........................

✿ Sandy's Dream World ❤ ツ. © 2008. Blog design by Randomness